Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.3.08

VARTMAAN

EK OR GHOTALE HAIN TO RISHWAT DOOJI OR HAI
CHAAYAA AISA ANDHKAAR HAI NAHI HO RAHI BHOR HAI

CHEHRE PAR IMAAN JHALAKATA LEKIN BHITAR CHOR HAI
NETA BIKTE AFSAR BIKTE MARKETING KA JOR HAI

MANDIR MASJID KO BHI NETAON NE KHOOB BHUNAYA HAI
SAMPRADAY KE NAAM SE JANTA KO BHI BAHUT GHUMAYA HAI

NAHI BACHE INKE CHANGUL SE PAIGAMBAR AUR RAAM BHI
LE AYE HAI RAJNEETI ME KHEECH YE UNKE NAAM BHI

JIS KAGAJ PAR LOG SACHAI KA PRAMAN DIKHATE HAIN
USME BHEE TELGI SAREEKHE GHOTALE KARWAATE HAIN

VIPDAON KI MAAR PAR RAHI YOON TO HAR LAACHAAR PAR
NAUKARIYA HAIN MILTI BAS ANUSHANSHA KE AADHAAR PAR

BHAVISHYA SAWAARNA KAHTE HAIN KI VARTMAAN KAA KAAM HAI
VARTMAAN ME LAGTA HAI BAS MALIK AB TO RAAM HAI.

BALRAM DUBEY
brdubey@gmail.com

2 comments:

गौरव मिश्रा (वाराणसी) said...

aapko bahut bahut badhai dube ji, ek kavita ke maadhyam se aapne vartman ki jo tasveer pesh ki hai usmein poori sachai hai, is kavita ke madhyam se shayad un bhrasht netaon ko hosh aa jaye jo desh ko khokhla karne ka kaam kar rahe hain

Unknown said...

प्रिय बलराम दुबे आपकी कविता भ्रष्ट नेताओं की असली तस्वीर पेश करती है । आप यों ही अगर ऐसा लिखते रहे तो देखिये एक दिन कमाल हो जाएगा। और कवियों मैं धमाल हो जाएगा । भाई स्वीकारो सुरेश नीरव की बधाई।