Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

22.3.11

आलोक तोमर के साथ प्रकाश चंडालिया, संपादक-राष्ट्रीय महानगर, कोल्कता की चैटिंग के कुछ अंश-





11:18 

datelineindia: jai ho
 me: pranam prabhu
  jansattaonline shuru hua kya sirji?
11:19 datelineindia: kya haal?abhee naheen. aspataal men hoon
  atal ji ke tarah saans kaa kasht
 me: Kya ho Gaya...Achanak...?
11:20 datelineindia: cigret, swasthya ke liye haanikaarka hai. nirmal bhutoria aapkree taareef kar rahe the
11:22 me: haan, kuch din pehle appki charcha kar raha tha, kisi vyakhyan ke liye prabhash ji ko aur aapko rajasthan le jaana chahte the, acharya mahapragya ke wahan par.
11:23 datelineindia: fir phone naheen aaya. vaise suratgarh aur sujan garh bahut priya hain mujhe
11:24 me: waise aapto naak se nahin, kalam se saans lene walon se hai prabhu,
11:25 rajasthani kavi kanhaiyalal sethia bhi sujangarh ke hi hain. padmashri mili thi unhe. par kambakht marwariyon ne dharti dhora re...aur pathal ar pithal jaise amar geeton ke rachnakaar ke liye kuch nahi kiya..
 datelineindia: sahee jaa rahe ho sampadak jee
11:28 me: kalkatte me kuch thekedaaron ne unka samagr prakashit kiya. is par lagat ke ek laakh rupaye bhi sethiaji ne apnii puraskar rashi me se diye the. sankalan aur sangrah karne walon ne unke samagr par apna naam bakayda sampadak ke roop me prakashit karwaya, achhi rakam bhi kamaayi par jab wo chale gaye to unki shok sabha me 100 log bhi nahi juta sake. maine is par apne blog me bhi likha tha, vidhansabha me bhi baat uthi thi, fir kambakht communishton ki vidhansabha ne unpar shok prastav pareet kiya tha..ye hai saale marwari. kalkatta me marwariyon ne rajasthani samaj ko dhandha bana rakha hai...
11:29 datelineindia: in comuniston ke to.....
11:30 me: aap jald swasth hon. shubhkamnayen sweekar karein, chand saane hamari bhi aap me jud jaayen. haan pollution free saanse hain...over regards
 datelineindia: thanks prakash bhai

No comments: