Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

26.9.11

Indo pak china

*ON INDO _ CHINA RELATION
Yeh theek hai ki hame cheen ki bhavnaon ka khyal rakhna chahiye , dosti qayam rakhne ke liye , jaisa ki Prem Shankar Jha sujhate hain , lekin kya –
1 – cheen hamara padosi desh nahi hai , pakistan ki tarah ?
2 – padosi kya hamse irshya nahi rakh sakta ?
3 – har padosi apne pados ko saman shakti – samarthya ya samriddhivan hote dekhna chahta hai ?
4 – kya yeh sach nahi ki padosi ek sthayi dushman bhi hota hai ? baatein wh kitni meethi kare par koi padosi apne pados ki pragati , utthan nahi dekhna chahta, na pasand karta hai ?
5 – wh use hamesha kamzor rakhna chahta hai ? sambhav ho to dabakar bhi ?
6 – bhai jaise padosi ke prati bhi sawdhan –satark rahna chahiye aur uski hinsak shakti ko kabhi kamtar nahi aankna chahiye ?
In sab sachchayiyon ke sath kya bharat ka cheen se laila – majnu jaisi mohabbat rakhna uchit hai , ya swayam shaktishali ban na tatha rajnay ka prayog karke pahle apna hit siddh karna chahiye ?udarta poorvak apni zameenein aur kshetrafal saunpne me bhala kaun si bhalmansahat aur buddhi mani hai ? aur aisa karne ka kya haq hai bharat sarkar ko?janta ki nyuntam apeksha sarkaron se yhi hoti hai ki wh desh ki seemaon ko surakshit kare ydi hindustan aisa nahi kar pata hai to iski bhartsana ho aisa karke bhi wh samasya ka koi hal nahi de payega wh hamesha kamzor rahega aur dabaya jata rahega jis se wh bhavishy me aur zaminein de sake ###
Sub ; Indo-pak islam -musalman
*Ref,hindustan-20/2/11/ tareef aapki
Pakistani gayak Rahat Fateh Ali ki harkaton par pakistan ke qanoon mantri BabarAvan ne kaha hai ki jo loge seema paar pyar ke nagme gate hain , unhe yaad rakhna chahiye ki Pakistan ka vajood do rashtron ke siddhant me hi hai mohabbat ke tarane kewal manoranjan ke liye
[ aise tarane hindustan ke bhi activists gate hain , unhe bhi kuchh seekh leni chahiye ]

*Ref; jansatta 20/2/11/ sajid rasheed
1977 me Atal Behari Bajpayi Janta sarkar me videsh mantri banaye gaye aur unhone Pakistan se dosti ki pahal ki pahli baar pakistani kalakaron aur cricketaron ko Bharat aane ka avsar milayeh aur baat hai ki us samay bhi bhartiya kalakaron ko pakistan me apni kala ka pradarshan karne ka avsar nahi diya gaya

No comments: