Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

26.9.11

Last Roman

*Sachmuch zindgi to wh ki jisme saans lene tak kee fursat na ho #
*Main manta sab hun Jaati bhed – rashtra bhed , Ling bhed , ityadi sab Lekin main unka vyavhar me palan nahi karta #
*Jo bada ban na chahte hain , ve bahut chhote log hote hain [Tabhi to we bada ban na chahte hain !] #
*Tumhare kaan ko kauwa le jaay , aisa to na hone do ! #
*Wahin meri hansiya – hathori rakhi hai , wahin mere Koran – Puran ! #
*Kuchh log itne vishvasneeya hote hain ki vishvaas nahi hota ! #
*Sab log bada aadmi ban na chahte hain Fir hum “DALIT” kyon rahna chahte hain ? #
*Mujhe to shastriya sangeet- nritya ki bhi bareekiyan samajh nahi aati , main brahmaand ki sanrachna kya samjhoonga ! #
*Samay ki itni jatil paribhashayein mahabharat se lekar Proffessor Hawkins dete hain Lekin aam jan ke liye wh bilkul kathn nahi hai kaise din beet jaata hai ,fir kal ho jata hai , use pata hi nahi chalta #
*Kenchuye ki tarah ydi apna shareer ainthna jaante ho , to kya samajhte ho ki tum sarkaar ki gardan bhi ainth loge ? #
*Aurat ka shreer koi paras patthar nahi hai , jise chhookar hum sona ban jane ki ummeed karein #
*Jis se jitni apeksha karoge , wah utna hi apekshit ho jayga #
*Ydi aurat kuchh khaye nahi , beemar na pade , to main use jeewan bhar pyar karne ke liye taiyar hun #
* Ghulam zinda rahte hain Samant vansh mrityu ko prapt hote hain #
* Loktantra ko itna pareshan to mat kar deejiye ki wah desh hi chhodkar bhaag jaay ! #
*Koi zaruri hai ki ’ maada hai ‘ jaan ne ke liye aadmi ki poonch [dum] uthayi hee jaye ? ###
*Communist vichardhara bhi bina mujhe kuchh diye nahi gayi Dharm ne jahan aadmi-aadmi me bhed dikhaya , Marx vad ne class difference ko pahchanvaya ##
*Hum patrakarita ki majbooriyan dekhen ya patrakarita ki pratishtha ? ###
*Galti kisi ki bhi ho , hum yeh jante hain ki cot mujhe aayi ##
*Nagnata aur ashlilta me anter avashy hai , par kahin aisa to nahi ki aap is muhavare ki aanr me ashlilta ko nagnata se dhakne ka prayas kar rahe hain ? ###
*Kya jhoothe logon ke saath bhrashtachar ya kisi bhi burai se imsndari ke saath lara ja sakta hai ? ##

No comments: